Hindi Shar Shayari Collection- 2 Line

adsense 336x280

Cheharaa meraa tha nigaahen us ki
Khaamushi men bhi vo baaten us ki

Mere chehare pe ghazal likhati gain
Sher kahati hui aankhen us ki

Shokh lamhon ka pataa dene lagin
Tez hoti hui saansen us ki

Aise mausam bhi guzaare ham ne
Subahen jab apni thin shaamen us ki

Dhyaan men us ke ye aalam tha kabhi
Aankh mahataab ki yaaden us ki

Faisala mauj-e-havaa ne likkha
Aandhiyaan meri bahaaren us ki

Nind is soch se tuuti aksar
Kis tarah katti hain raaten us ki

Duur rah kar bhi sadaa rahati hai
Mujh ko thaame hue baahen us ki

Aakhon ki zuban wo samajh nahi pate,honth hain magar kuch keh nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen, koi hai jinke bina hum reh nahi paathe……..

Naam ki kya baat karte hoo, log chehre tak bhool jate hain…
tum samander ki baat karte hoon, log aankhon main doob jate hain…. 

Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai

tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai

log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai

jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai

nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai

banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai

tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai
 
adsense 336x280

0 Response to "Hindi Shar Shayari Collection- 2 Line"

Post a Comment